Lyrics
Kabhi sochta hoon, ki main chup rahoon
Kabhi sochta hoon, ki main kuchh kahoon
Aadmi jo kehta hai, aadmi jo sunta hai
Zindagi bhar woh sadaayen peechha karti hain
Aadmi jo deta hai, aadmi jo karta hai
Raaste me woh duayein peechha karti hain
Koi bhi ho har khwaab to achchha nahin hota
Bahut zyada pyaar bhi achchha nahin hota hai
Kabhi daaman chhudanaa ho, to mushkil ho
Pyaar ke raste chhute to, pyaar ke rishte toote to
Zindagi bhar phir vafaayen peechha karti hain
Kabhi kabhi man dhoop ke kaaran tarastaa hai
Kabhi kabhi phir dil mein, savan barastaa hai
Pyaas kabhi bujhti nahin, ik boond bhi milti nahin
Aur kabhi rim jhim ghatayein peechha karti hain
कभी सोचता हूँ के मैं कुछ कहू
कभी सोचता हूँ के मैं चूप रहू
आदमी जो कहता है, आदमी जो सुनता है
जिंदगीभर वो सदाये पीछा करती है
आदमी जो देता है, आदमी जो लेता है
जिंदगीभर वो दुवायें पीछा करती है
कोई भी हो हर ख्वाब तो सच्चा नहीं होता
बहोत ज़्यादा प्यार भी अच्छा नहीं होता
कभी दामन छुड़ाना हो तो मुश्किल हो
प्यार के रिश्तें टूटे तो, प्यार के रस्ते छूटे तो
रास्ते में फिर वफ़ायें पीछा करती है
कभी कभी मन धूप के कारण तरसता है
कभी कभी फिर दिल में, सावन बरसता है
प्यास कभी बुझती नहीं, इक बूँद भी मिलती नहीं
और कभी रिम झिम घटाएं पीछा करती हैं
Lyrics: Anand Bakshi
Music: Laxmikant Pyarelal
Singer: Kishore Kumar
Movie: Majboor 1974
Translation
Sometimes I feel that I should remain speechless.
Sometimes I feel that I should (little) express.
Whatever man hears, whatever man says.
For whole life its echoes reverberates.
Whatever man donates, whatever man causes.
For whole life the good wishes chases.
Whoever he may be, all dreams do not realize.
Getting too much love is also not very nice.
If one wishes to get rid of attachments then difficulties he may face.
If paths of love separate, if bonds of love deviate-
For whole life loyalties chases.
Sometimes a man feels thirsty due to hot weather.
Sometimes in his heart showers deluge of water.
Sometimes thirst remains as it is, a drop we fail to see.
Sometimes pitter-patter showering clouds chases.
© Translation in English by Deepankar Choudhury.
No comments:
Post a Comment