Lyrics
Tu jahan jahan chalegaa, meraa saayaa saath hogaa
Meraa saayaa, meraa saayaa, meraa saayaa, meraa saayaa.
Kabhee mujh ko yaad kar ke jo bahenge tere aansoo
To wahee pe rok lenge unhe aa ke mere aansoo
Tu jidhar kaa rukh karegaa, meraa saayaa saath hogaa
Tu agar udaas hogaa, to udaas rahoongee main bhee
Nazar aaoo, yaa naa aaoo tere paas rahoongee main bhee
Tu kahee bhee jaa rahegaa, meraa saayaa saath hogaa
Main agar bichhad bhee jaaoon, kabhee meraa gam naa karnaa
Meraa pyaar yaad kar ke, kabhee aankh nam naa karnaa
Tu jo mood ke dekh legaa, meraa saayaa saath hogaa
Mere gam rahaa hain shaamil tere dukh mein, tere gam mein
Mere pyaar ne diyaa hai, teraa saath har janam mein
Tu koyi janam bhee legaa, meraa saayaa saath hogaa
तू जहा जहा चलेगा, मेरा साया साथ होगा
मेरा साया, मेरा साया, मेरा साया, मेरा साया
कभी मुझ को याद कर के जो बहेंगे तेरे आँसू
तो वही पे रोक लेंगे उन्हे आ के मेरे आँसू
तू जिधर का रुख़ करेगा, मेरा साया साथ होगा
तू अगर उदास होगा, तो उदास रहूंगी मैं भी
नज़र आऊ, या ना आऊ तेरे पास रहूंगी मैं भी
तू कही भी जा रहेगा, मेरा साया साथ होगा
मैं अगर बिछड़ भी जाऊ, कभी मेरा गम ना करना
मेरा प्यार याद कर के, कभी आँख नाम ना करना
तू जो मूड के देख लेगा, मेरा साया साथ होगा
मेरे गम रहा हैं शामिल तेरे दुख में, तेरे गम में
मेरे प्यार ने दिया हैं, तेरा साथ हर जनम में
तू कोई जनम भी लेगा, मेरा साया साथ होगा
Translation
Wherever you may go you'll find my shadow
My shadow, my shadow, my shadow, my shadow
Whenever if you recall me and flows your tear
Then my tears shall come and stop them there
Wherever you may turn you'll find my shadow
Whenever you feel sad then I shall be sad too
I may or may be visible but I am always with you
Wherever you shall be going, you'll find my shadow.
If ever I am parted never feel sorry
Recalling my love never wet your eyes
Whenever you'll turn back, you'll find my shadow.
My sorrows were always fused in your blues, in your woes
My love was always with you in your every epitomes.
Any where you may take rebirth, you'll find my shadow
© Translation in English by Deepankar Choudhury
Another (refined) version is here.
http://anondogaan.blogspot.in/2014/02/tu-jahaan-jahaan-chalegaa-lyrics.html
GEETO KI APNI EK MANN KO CHUNE WALI BHASHA HOTI HAI...AUR SUR US GEET KI ATMA....APNE SAMAY KA BAHOT HI PRIYE GEET HAI SEMI CLASSICAL HONE KE KARAN DIL ATMA KO CHUTE HAI.. EK- EK SUR...DHANYAWAAD TRASNLATION KE LIYE...ANUWAD SE PATHAKGANA KO ASANI HO JATI HAI SMJHNE KI...AAPKA TRASLATION HAMESHA SE UTKRISHT RAHA HAI...IS SEVA KE LIYE AAPKA ABHAAR HAI..
ReplyDeleteSNEH AUR ADAR KE SATH
MANA
Thanks Mana :)
DeleteLove & regards